Lets get lost.....Diaries de Motorcicela
Powered By Blogger

Sunday, January 30, 2011

Teri Yadain..


Aksar...
jab bhi hota hun kabhi tanha..
tab chupke se..
bina kisi aahat k..
barsaat k ghane kohre se nikal.
mujhe bahlane..
mere pass aaya karti hain..
teri yadain.

Phir raha karti hain..
der tak..
mere takiye k pass hi..
rat k bujh jane par..
mere so jane tak.

thanx for being there in my laughter n tears.....

Saturday, January 29, 2011

Monkchu, me n late night calls




















Pichhli rat ki neeli thand...
ab tak badan me ghuli huyi hai..
khumari bhi aankhon me..
ab tak kuch baki hai..
aaj ka din tukdon me ..
jhapkiyan le kar jiya..
kya aaj bhi wahi rat aayegi?


Late night conversations are usually the ones that mean the most. missing those talks

Monday, January 24, 2011

Chhoti-chhoti chhitrayi yaadein...


Chhoti-chhoti chhitrayi yaadein
Bichhi hui hain lamhon ki lawn par.
Nange pair unpar chalte-chalte
Itni door chale aaye
Ki ab bhool gaye hain –
Joote kahan utaare the.
Aedi komal thi, jab aaye the.
Thodi si naazuk hai abhi bhi.
Aur nazuk hi rahegi
In khatti-meethi yaadon ki shararat
Jab tak inhe gudgudati rahe.

Sach, bhool gaye hain
Ki joote kahan utaare the.
Par lagta hai,
Ab unki zaroorat nahin

Friendship Diaries.......

Sunday, January 23, 2011

kuchh batain Neel k sath


Neel...a beautiful girl just like a blue bird..zinda dil, loves music, art n dance, inteligent n most imp a very nice human being. duniya me un kuch logon me se ek jo dil k bahoot achhe hain or mere dost hain. University k dino me kabhi kabhi Fauji boots bhi pahnati thi ofcourse jeans k sath. shayad ek ya do bar jab jab salwar kameez me dekha to pahchana hi nahi.....yad hai tumne ek bar library me ek moti si ghalib ki book nikali, shayad Diwan e Ghalib thi, then i came to kno, u r a hard core Ghalib lover...mere sath shayri ki batain to koi chahe sari umr bhar karta rahe so... mujhe achha laga. u r an amazing girl neel. ...lots and lots of adjectives can added to u. u kno i always wear hat, so just Hats off to you...
m sure we'l b friends for a long time. hai na?U kno I love to be in my own world bt Whenever and wherever in ur life, u feel like sharing something with me…u will find me standing beside u…n i kno u r also there with your ever-patient ears ....
 ...
kuch din pahle kuch mails exchange hui uske sath...ek or khasiyat pata chali k achha likhti bhi hai....
usi k lafzon me....
Neel...hmmm...
saagar ki gehrayi
aasman ki parchayi
neelam ki aarzoo
mein hi to hoon

she is from karsog..n karsog is a beautiful town n valley...
i wrote to her..
kya tumhare karsog ko bhi thand lagti hai....
Kya tumhara karsog bhi kabhi barf ki razai od kar sota hai..
 
iske jawab me usne likha...
mere karsog mein aaj barf ki chadar hai
thandi hawaon ne ise neend mein sulaya hai
us chand ko aagosh mein jis ne chupaya hai
wo deewana to ek guzarta baadal hai

once i travelled thru karsog valley n i recollected the memories of there with Neel with these words
barf me to karsog valley christian bride ki tarah lagti hogi....
tumhari karsog valley bahoot khoobsoorat hai....
bahoot bar wahan se gujra...
ek bar barishon k mausam me..
kuchh der ruk kar jee bhar kar dekhana chaha...
par ye to badlon me hi chhupti rahi..
shayad sharma rahi thi...
dil kiya gadi ki dikki me dal kar le jaoon...
kuchh der tak camera me band karne ki koshish ki..
par tukdon tukdon me hi bandh paya...
phir jate jate der tak tab tak dekhta raha,
jab tak aankhon se ye ojhal nahi ho gayi..
mujhe aj bhi iski wahi khoobsoorti yad hai...
ab ki bar ise chandani rat me sote huye dekhna chahoonga...
ya phir subah hone par jab ye angdayi le kar uthegi
 Neel to me
subhah ki angdayi par ye khwab gum ho jayega
bheegi os mein chamakta hua aks nazar aayega
karsog ke daman mein barf ke nazare nahin
ye uske aanchal ke bikhre hue faasane nahin
dur kahin pahadon ke oat mein
jahan pahad aasman chute hain
wahan barf ki chadar bich jati hai
mein kahin us mukam mein rehti hoon
subhah se dur us anjani sham mein rehti hoon

Monday, January 17, 2011

Stolen kisses & Interlocking Fingers


Beeti kahaniyan..
or
kuch bheegi yadain..
bhula nahi ye dil kabhi..
shayad..
kuch..
tumhe bhiyad ho.
Tumhari sanson me ghulti meri sansain..
ab bhi tumhari kuch mahak baki hai..
still remember..
those stolen kisses..
&
interlocking fingers..

Sunday, January 16, 2011

Aadat hai voh...

khwabon k lifafon me...
kisson me, kitabon me...
fursaton ki baaton me..
arson se khayalon me..
thodi khoyi hui...
kab se soyi hui..
wo aadat hai voh.

Karvaton ki bahon me..
salvaton ki rahon me...
sahmi sahmi sanson me ...
surmayi si baton  me...
zid aisi chhoote nahi.. 
mujhse roothe nahi..
wo aadat hai voh..

intzaron me rahoon..
umr bhar main to rookun..
dil ko kaise dun sookun
us se main  kah sakoon.
yu juban pae chadi..
mahangi jo hai padi...
wo aadat hai voh

   khawabon k lifafon me...





Thursday, January 13, 2011

Monku's n Cheeku's Dreams


i want to go..

hand in hand..
with you..my Monks..
to the cold snowfed mountains.....
when the late sun wil shine at the dusk..
here when i'l warm u..
with my breath..

n say all the things..
which i never said.
We'l make home here..
here 'we'l stay together..
forever..
till our last breath.
My Friendship Diaries...............