Wednesday, June 13, 2012
ek or din.ek or rat....uske bina
meri soch ki duniya...kitni chhoti kitni badi! chhoti si duniya isliye k bas wo hi to basti hai is me. uske siwa kuch nahi, kuch bhi nahi. na garmiyon ki shamo ki thandak ka maza, na hi koi or khushi. hmmmm..badi isliye k kitni yadain uski jo har pal muje satati hain...kitni batain kabhi khatam hi nahi hongi. Tum ja chuki ho..mujhe pata hai, nayi duniya tumhari, jisme mere liye koi jagah nahi. hai na Monkchee? khud par se vishwas uth gaya Monks tere aisa karne se. Tujhe pata hai k main pal pal mar raha hun tere bagair, phir bhi tu ek bar bhi palat kar nahi dekhti. Kitni khush hai tu apni duniya me! pata hai Monkchee! jis din tu ye samjhegi na, tu bahoot royegi meri Monks. kash aisa kabhi na ho. par aisa hua na agar to main teri tarah nahi karunga, main wapis tere pas hi hunga Monks. Abhi ja tu jahan tu ja rahi hai...par jab bhi kabhi wo tere hathon ko chhuega na monks..or us se bhi jyada kuchh...tujhe meri yad to aayegi Monkchee, mujhe ye pata hai. O meri Monks...sach me ye sab kitna achha hai na, k tu itni khush hai k tujhe meri bilkul yad hi nahi aati. Kabhi agar meri jaisi feelings tu jee kar dekhegi na, to tu itna tootegi na Monks k tujhe abhi iska koi guman nahi hai. par tu dariyo mat main tere aas pass hi hunga kahin. Par bus ek bar pukar lena..mujhe apne sath paogi.
Labels:
Diary of a looser
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment