Lets get lost.....Diaries de Motorcicela
Powered By Blogger

Tuesday, July 17, 2012

Oyeee Monks.

O Monks! Janti hai? tu mere liye duniya ki sab se khoobsoorat ladki hai…Agar koi or tujh se achhi hai bhi to mujhe nahi janna us ke bare me. Isi wajah se mujhe tere alawa koi ladki achhi hi nahi lagti monks.. Par main tere liye duniya ka sab se achha ladka nahi hun na ab? Main tujhe itna pyar nahi kar saka na..k tu mere pass hi rahti...mera tujhe kam pyar karna hi wo wajah rahi hogi k tune bahoot pahle hi us se bat karna shuru kar diya tha. or us se batain karte karte tune kab mujhe bhula diya ye tujhe bhi pata nahi chala na? main janta hun k tu bahoot khush hai us ke sath, aisa tu hi to kahti hai.


Mere liye tujhe yad karte rahna hi bahoot hai. Tere sath beetaya samay yad karna kitna mazedar hai, ye tu nahi samjhegi abhi. wo wo din the jab tum mujh me khoyi rahti thi..or main tujh me. tere juda hone ka ahsas dooor tak kahin nahi tha...par tujhe tha shayad...Subah tujh se shuru hoti thi.or rat tere sath khatam...din me to tu mere samne hi to rahti thii hamesha. fir kuch aisa hua k sab kuchh badal gaya...ye sab shayad nahi badalta par wo aaya..or sab badal gaya. janti hai na tu isi wajah se main us se nafrat karta hun..us ne tujhe chhina monkchhi mujh se. or tu bhi to kitni aasani se chali gayi. or aisi gayi k wapis bhi nahi aana chahti. kaise kitna kuch bas yun hi badal jaya karta hai.




No comments: