Lets get lost.....Diaries de Motorcicela
Powered By Blogger

Tuesday, July 3, 2012

Pichhla kuch Baki

I was a trouble na Monks? But now no more...Na main tumko call karta hun, na tum mujhe. sms bhi aaya karte the tumhare ...ab wo bhi aane band ho gaye. Main samajh sakta hun agar tumne soch bhi liya hai k mujh se bat nahi karogi ab! par kya sach me mujhe phone na karna, ignore karna tumhe khushi dene laga hai? Uska ahsas itna strong hai k main ab tumhe yad nahi aata? Bahoot se ahsas, bahoot si yadain mere hi aaspas bikhri padi hain, tu to akele hi chali gayi thi na uske pas, kuch bhi to sath nahi le gayi, Usne poocha bhi hoga ye kyu khali hath aayi ho? or tum ne kitni aasani se kah diya hoga..k kya lati? kuch tha hi nahi lane ko. or usne bhi sach man liya hoga..Ek number ki actor jo ho...kab sach bolti ho or kab jhoot pata hi nahi chalta... par tere jane ke bad kabhi dil bhi nahi kiya mera k jhadoo uthoon or in idhar udhar bikhri padi yadon ko samet kar dustbin me dal dun. Aisa main kabhi kar bhi nahi paunga. Tera ek wooden kada abhi bhi mere pas hai, tujhe yad bhi hai ya nahi pata nahi, wahi brown color ka kadaa jo main aksar pahna karta tha..or ek bar wo toot gaya tha or maine use quickfix se jod bhi diya tha..uske bad main kabhi usko pahan bhi nahi paya ...nahi to wo toot jata...Rishte bhi aise hi hote hain na...ek bar toot jayain to phir jud to jate hain par phir un me wo bat nahi rahti. Yahi dar laga rahta hai k kahin fir se na toot jayain Ab tera us se bat karne ka time ho gaya hoga na? phir milte hain yahin kal ya fir parson.



No comments: