Mere liye sab se mushqil kam tujhe uske pass jane dena tha monks. Wo main kar chuka. Tu chali gayi par ab tera mujh se yun ajnabi ke jaise milna nahi saha jata. Maine ye to nahi socha tha ke tum yun mujhe bhula dogi. Kitni aasani se tu mujhe samjha rahi thi k Neeji kisi se mil, batain kar or fir sab theek ho jayega.
Jaise tumhare sath sab theek ho gaya na Monks? Kitni aasani se tum ne mujhe out kar diya. Fir main kyo nahi kar saka aisa? Janta hun ab tum mujhe yad nahi karti par Kabhi to koi to ek aisa pal aayega jab tum bhi mujhe fir se waise hi yad karogi, jaise pahle kiya karti thi or jaise main tujhe har pal ab bhi karta hun
.Main janta hun tujhe bhula doon to mere sath sab theek ho jayega. Par kyo main tujhe fir bhulana hi nahi chahta...Mujhe pata hai bas isi tarah hi to tu mere pass me hai hamari yadain bankar.jab chahe tujhe yad kar k tujh se batain kar sakta hun. or aksar karta bhi to hun..meri baton k jawab bhi tum kya dogi, mujhe wo bhi to pata hai na Monks. Agar bhula diya maine tujhe to tujhe kho dunga, fir kya rahega mere pass tera? to kaise bhula sakta hun fir?.Ab mujhe tujhe yad karte rahne me ajeeb sa maza aane laga hai.
.
Tuesday, May 22, 2012
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment