Lets get lost.....Diaries de Motorcicela
Powered By Blogger

Thursday, May 31, 2012

Wo hamsafar sa...


Meri Monx kaisi hogi? Do din se bat bhi nahi huyi? usne kah jo diya ke Neeji han ! main or wo late night calls bhi karte hain ek doosre ke sath. mujhe ye sab pahle se to pata tha, tujh se mere samne kuchh chhupta to hai nahi. meri Monkchee mere liye hi to sab jhoot bolti rahi..k kahin main toot na jaoon. Hamesha mujhe ek practical aadmi bolti thi, par samay aane par practical decision usi ne liya. Mujhe chhdone ka practical decision. ye end hai ya ek naya start? Aisa kyo hota hai k ham sath sath chalte to hain par sath sath pahunchte kahin nahi. Ye zindagi kaise kaise mod par le aati hai. Shuru me sab kuch aisa jaise Geele geele bahoot se rang kisi canvas par failne ko bekrar, failte bhi hain, ek adhoori si tasweer bhi ubharti hai par fir ye rang feeke hote jate hain or fir aati hai ek black & white nayi duniya jahan safed Dhund se bhare raste hain, jahan kuch dikhta hi nahi, pahle unhi rahon par sath sath chalte hain, phir achanak hath choot jata hai, par phir bhi kayi sal aisa guman hota hai k hath hi to chuuta hai to kya hua, wo hai to yahin sath me hi to chal raha hai. fir jab waqt ek lamba sa mod leta hai kareeb ded sal lamba mod, to pata chalta hai, jiske sath hone ka guman tha wo ab sath nahi, wo to ab rah badal chuka hai, ek nayi rah, ek naya rasta jo hamari zindagi wale raste k sath sath hi chalta hai kabhi door ho jata hai, kabhi pass, or kabhi bas thodi der ke liye hi hamare raste me bhi mil jata hai, fir dhund chhant ti hai to dikhata hai wahi hamsafar jo kabhi hamare sath chal raha tha, ab kisi or ka hamsafar ho gaya hai, chal wo bhi raha hai par rasta alag hai, hath bhi alag ab nazron me wo chamk nahi, jo ek dusre ko dekh kar aati thi. Fir dil ek lambi si aah bharta hai or sochta hai k wo kaun sa pal tha jab uska hath chuta tha, agar nahi chuta hota to wo sath me hota.

No comments: